Sunday 3 January 2010

wrong number

Ye kahani hai ek aisi aurat ke bare ma jiske zindagi ke pannay khali hi rahe gaye……….

Ek chootay say sahar ma TRISHNA naam ki ek aurat thi jiske do bacchay thay. bada beta 15 saal ka tha aur chotti beti 12 saal ki thi jiske naam santosh aur surbi tha…………………

Trishna ke pati kay gaye huye 8 saal ho chuke thay.uske pati ki mritu ek durghatna ma hue thi.

TRISHNA ki naukri uske pati kay post par hue thi apne baccho ki zarurato ko pure karne ma itni magan rehti ki apni khusshi aur apni zarurat ka dhayan tak nhi rehta tha use……………

Par ek din uske zindagi ma kisi na dastak diya baat ye hue ki ek baar uske mobile par kisi ajnabi aadmi ka call aaya, jo ki ek wrong number tha………….

Magar pata nahi trishna aur us admi ke bich baato baato ma aachi dosti ho gae aur is dosti nay kab pyar ka roop le liye un dono ko pata bhi nhi chala………………

TRISHNA ne us ladke ko apni zindagi ki sari haqiqat bata di thi ki wo ek vidow hai aur uske do bacchay bhi hai magar ye sab janne ke baad bhi wo admi jiska naam sanjay tha trishna ko apnane ke liye tayar tha..wo TRISHNA sa age ma kafi chota tha magar un dono ko is baat sa koe aitraaz nahi tha…………

TRISHNA dusre din hi sanjay sa milne ke liye rawana ho gae jab wo station par pahuchi to sanjay ko talaash ne lagi usne sanjay ko call kia wo bhi station par hi majud tha magar dono ne kabhi ek dusre ko dekha nhi tha to bas station par dhundne lagay………….

Achanak sa TRISHNA ki nazar ki naujawan par pari jo kafi manmohak dikh raha tha,TRISHNA uske pass gae aur use boli tum sanjay ho ,aur wo ladka sangay hi tha……………………

Jab sanjay me TRISHNA ko dekha to usske pairo sa mano zameen khisak gae ho,umar ka fasla TRISHNA ka chehra baya kar raha tha………………..

Sanjay ko tab ehsaas hua ki TRISHNA uske liye nhi hai, un dono ke bich umar ki bahut gahri khaee hai sanjay aur TRISHNA wahi station par bani kursi par baith gaye ……………………

TRISHNA ki khusshi ka to tikana hi nhi tha magar sanjay ke chehre ke haw bhaw dekh kar TRISHNA ko andaza ho gaya tha ki sanjay kya soch raha tha………………

Sanjay ko samaj nhi aa raha tha ki wo TRISHNA ko kasay wapas bhej day………….

SANJAY kuch kehta isse pehle TRISHNA ne sanjay say kaha sanjay ma tumhare saath nhi aa sakti ma yahan tumse bas hamari dosti ki khatir milne aae hu tum kisi aachi ladki sa shaddi kar lo .ma apne baccho ke saath bahut khush hu ma ja rahi maine jo paal tumhare saath bitay hai un palo ko yaad karke ma hamesha tumhe yaad kia karugi……tum hamesha mere ek aachay dost raho gay ……..tumhari aanay wali zindagi ke liye dher sari subh kamna……sanjay use dekhta hi rah gaya aur TRISHNA ussi train sa apne chootay sa sahar ma wapas laut aae………….. AUR USSKE ZINDAGI KE PANNAY FIR SA KORAY RAH GAYE………………………………………

Written by KIRTI RAJ…………….
Posted by kirti at 2:58 AM 1 comments

हम पागल नहीं है

aj mai samaj kay 1 aisay tiraskrit varg ke bare mai apko awgat karane ja rahi hu jise hum padhe likhe log PAGAL kahte hai jo 1 gali kay saman hai .wastav mai jis tarah say koe rogi aankh,nakh,pair,hath ya kaan say aswast hota hai thik ussi tarah ye log mansik rup say aswast hotay hai magar iska matlab ye nahi ki ye insaan nahi hai inke andar bhawnaye nahi hai ya inko dard nahi hota.....ye bhi hum samanya insano ki tarah sabhi bhawnao aur zindagi kay sabhi rango ko mahsus kar sakte hai ..............
aj hamare samaj nay in mansik rogio ke saath algaw bana lia hai.samaj to dur ki baat jab apka pariwar hi apka saath nahi de to fir samaj say kya shikayat karna. hame ranchi mai kakay kay mansik rogi aspatal may kae aisay rogi milay jo ilaj ke liye yahan laye gaye thay magar aj jab ye thik ho gaye hai to inko ghar wapas le jane wala koe nahi hai.unke pariwar walo ne unka tyag kar dia hai aisi isthiti may in asahay logo ka bhawish kya ho sakta hai kabhi kisi ne inki bhawnao ko samjh nay ki koshish nahi ki hai.....zadatar log ya to inse ghrina karte hai ya fir darte hai ya log inhe aakramak samajh tay hai magar wastav mai ye apne akelepan ke karan apne charo taraf 1 alsg si duniya bana latay hai apne haatho say hawao may tarah tarah ki aakriti banate hai.hamne aksar mansik rogio ko chillate,rotay ,gussa karte,ya gali datay huye dekha hai jo hame bada ageeb lagta hai magar aisa isliye hai......kyuki hamari tiraskar kay karan wo apni alag hi kalpanao ki duniya basa latay hai jisme sirf wo aur unki kalpane hoti hai jiske saath wo apni sari bhwano ko share karte hai unki kalpano ki uran inti unchi hoti hai ki hum wahan tak pahuch nahi pate......yeh sari kalpanaye unki kalatmakta ko darshata hai to fir wo PAGAL kasay huye......ha wo samanya logo ki tulna may utnay buddhi jiwi nahi hotay magar unke sochnay aur samajhnay ki samta hamari jitni hi hoti ya shayad hamse bhi zada isliye wo shayad hamse alag hotay hai......fir bhi in besaharao ke liye nahi kisi sansthan nay na hi samaj nay aur na hi sarkar ne koe thos kadam uthaya hai........
sarkar ko chahiye ki unki kala ko nikhara jaye jo log thik ho chuke hai aur jinke pass awas nahi hai unke liye zada say zada punarwas ka nirman kia jana chahiye taki ye 1 samanya leevan yapan kar sakay..aur sarkar hi nahi hamare samaj kay us har insaan ko inhe tiraskrit karne kay wajah inko prem aur sadbhawna say hamare samaj may milane ka prayas karna chahiye kyuki insaan samanya ho ya asamanya prem say sabki jita ja sakta hai..........................
is sandesh kay dwara meri ye 1 chotti si prayas hai un logo ko jagruk karne kay liye jo mansik rogio ko abhelna ki drishti say dekhtay hai kyu ki........... ye bhi hamare samajh ka hi hissa hai jissse hame apnana chahiye na ki daknana.......
Posted by kirti at 8:14 PM 1 comments

तृष्णा नशे की

drug ka tatparya kya hai agar mere shabdo ma dekha gaye to............
D=DESTRUCTION
R=RECRIMINATION
U=UNSIGHTLY
G=GASTLY
S=SURREPTITIOUS
drugs 1 aisi Nashili padarth hai Jo hamare pure sharir ko apne aadhin kar leti hai. ye hamare nervous system par kuch aisa prabhaw dalti hai jisse hame kuch samay ke liye sukun ka anubhaw to hota hai magar hamari puri zindagi 1 gahri khae ma girti chali jati hai jahan hamari chikhay sunne wala koe nahi hota hai aur dhere dhere hum iske itne zada aadi ho jati hai ki drug nahi milne par hum apna dimagi santulan kahonay lagtay hai,aakho kay aagay andhara chane lagta hai,hamare haath-paw hamaray kabu ma nahi hotay hai.us waqt bas yahi mehsus hota hai ki bas kahi say thoda sa durg mil gaye aur hum apni vyakulta shant kar paye.nahi chahte huye bhi hum dug kay gulab bante jate hai.hamari shararik sanrachna drug kay aadhin hoti chali jati hai aur hum drug addict ban jate hai.drugs ki ginti ma kuch bahut hi khatarnak drug hotay hai wo hai MARIFUANA,COCAIN,ALCOHAL,AMPHETAMINE-TYPE-STIMULANT(ATS),OPIATES,VOLATILE SOLVANTS.......aj hamare desh ma lagbhag 76.3 million log drug kay shikar hai aur drug say marne wale logo ki shankhya prati varsh 1.8 million hai.aj bhi pure wishwa ma 185 million log drug ki chapait ma hai jinme 15 saal sa adhik varsh wale baccho ki sankhya adhik hai.sabse ascharya ki baat to yah hai ki hamari yuva pidhi sabse adhik drug ki chapait ma hai.sabse pehle to drug paddling wale log in baccho ko drug ki lat lagate hai fir jab ye drug kay aadi ho jate hai to drug ka lalach dekar ye inse gair kanuni kaam karwate hai jaise drug smugling ityadi aur wo masum baccha gunaho ki khae ma girta chala jata hai aur 1 drug addict ke saath 1 criminal bhi banta chala jata hai.hamari yuva pidhi hi nahi balki kae anubhabi log bhi apni thakan ko dur karne ke liye drug addict ban jate hai magar ye koe sahi tarika nahi hai.kae baar zindagi sa hatash log bhi zindgi ko niras samajh kar alcohalic ban jate hai.yah 1 aisi mitthi zahar hai apne 1 baar isse chakha ki dhere dhere apke dimag par ye hawi hota chala jata hai.kae baar jo ladkia drug ka shikar hoti hai.unhe drug dene ke naam par ya drug hasil karne ke liye ye kuch bhi karne ko taiyar ho jati hai jiska ye paddling wale log faida uthate hai.inse ashlil harkate kar wate hai..inke samne sirf 2 hi wikalp hote hai ya to ye suicide kar leti hai ya fir sex racket ka hissa ban jati hai...aur badle may drug jaise haiwan kay shikanjay may kasti chali jati hai.

yadi hum 1 accha aur naik bhawish chahte hai to hame hi hamari madad karni hogi.koe bhi samaj,insaan ya sarkar hamari madad nahi kar sakti hai......ha magar kae aisi alcohalic group institution aa chuki hai jo hame drug chorne ma hamari madad karti hai hamare aatmawishwas ko badhati hai hame 1 ummid ki kiran dikhati hai hame har prakriya sa awgat karati hai...doctor ka kahna hai ki jab bhi hame drug lene ka man kare ho hame work out karna chahiye jaise swimming karna,trade mill par daurna,skipping karna ya koe bhi aisa heavy exercise karna jisse hame bahut pasina aaye aur hum buri tarah say thak gaye isse hamari dimag ma drug ki jo chahat hoti hai wo kaam ho jati hai aur hum drug ko nazar andaz kar pate hai.......ye hum yuva pidhi ka bhi farz banta hai ki hum school,collage,mall,ya jagah jagah par jakar drug kay khilaf campaign kare logo ko drug kay prati jagruk kare unki jankari badhaye unko un logo ki kahani sunaye jo drug addict thay magar aj wo drug say mukt hai...


aj mai bhi apko ik 41 warshiye purush DAVID PARNELL ki kahani sunane ja rahi hu jo CANADA kay niwasi hai.ye 13 varsh ki aayu mai hi drug(MARIFUANA)kay shikar ho gaye thay.dhere dhere ye isse bhi zada khatarnak drug (METHAM PHETAMINE) kay aadi ho gaye thay.inhone kae baar drug chorne ki koshish ki magar nahi chor paye inke paas utne paise nahi hua karte thay ki wo har baar drug kahrid sake..paise ke liye inho ne kae shops ma chori ki apne khud kay ghar ma chori ki,tab bhi kaam nahi bana to drugs bhi smagal kia..ye puri tarah say gunaho say ghir chuke thay dosto nay girl frnd na yaha tak ki pariwar walo na bhi saath chor dia tha...aur 1 din 23 varsh ki aayu ma hatash hokar suicide karne ki koshish ki magar wo bach gaye...fir inhone jail ma hi drug aware house join kia jo drug chorne ma madad karti hai.DAVID nay apna atmawishwas itna badha lia,apne ap ko itna mazbut kar lia ki aj wo drug sa mukth hokar 1 samanya zindagi jee rahe hai,aur aj bhi DAVID NORTH AMERICA may yuva pidhi aur drug addict logo ko apni kahani sunakar drug chorne ke liye protsahit kar rahe hai............

ma bhi bas itna kahna chahugi ki aye yuva pidhi apna atmawishwas,apni ummid,apne hawslay,apna lakshya,apne iraday,apna vyaktitwa,apne charitra ko itna mazbut kar lo ki koe bhi napakh irade isse hila tak na sake.................aur sirf yuva pidhi hi nahi wo har log jo nashay kay aadi(SAY NO TO ALCOHAL)!!!!!!!!